Which glass is used in the Rajgir glass bridge?

Date:

Share post:

Glass bridge of Rajgir

Bihar sarkar bahut hi jor de rahi hai bihar ke paryatan sthal banane ki. Yaha par aneko paryatan sthal hai. To aaj ham baat karenge bihar ke pramukh paryatan sthal ki , to ham aapko bata de ki bihar ke pramukh paryatan sthal me ek Rajgir bhi hai yaha par parytako ke liye aneko ghumne ke liye sthan hai . Rajgir me 2021 me bankar yah taiyar hua glass bridge. Yah bahut hi pyara aur manmohak hai. Agar aap ek baar ghum le to baar-baar jane ka maan karega. To aaiye jante hai iske bare me

History of Rajgir

Rajgir , jise rajgirih ke naam se bhi jana jata hai , bharat ke bihar rajya me nalanda jile me isthit ek sahar hai jiska itihas bahut hi samridh hai aur yah kai dharmo aur sanskritiyo ke liye prasidh hai.

 Rajgir aneko dharmo se jura hai hai unme se ek baodh dharam ke liye pramukh hai bauddh tirth sthal hai aur buddh  ke sabse mahtawpur updesh sthal me se ek hai . mahatma buddh aur mahavir dono ne 5 vi aur 6 vi satabdi isha purav me rajgir me siksha di thi . kaha jata hai ki buddh ne is chetra me ek jangali hathi ko vash me bhi kiya tha.

Yah jain dharm , hindu dharma tatha bauddh dharm ke log yaha rahte hai aur sabhi dharmo ke mandir bhi milenge . rajgir apni prakritik sundarta ke liye bhi parsidh hai.

Rajgir kyu hai prasidh

Rajgir prasidh hai apne prayatak sthal ke liye aur prakritik sundarta ke liye. Yaha aap ko ghane jungle , uchi pahar , gufaye ,jharne bhi dekhane ko mienge . iski apni anya ulekhaniye bisheshtaye hai jiske liye yah prasidh hai. Yaha par anek sthal hai jaha aap ghum sakte hai rajgir glass bridge, wildlife safari , nature safari, wishav shanti stupa , rop-we rajgir, brahma kund, ghora katora jhil, gridhkut parvat, lal mandir , virshasan dham tirth, digamber jain mandir, garm jal jharne , bipulachal parvat (jain mandir) etc.  Ham janege rajgir glass bridge ke bare me.

Glass bridge of Rajgir

Bihar ke rajgir me glass sky-walk bridge ka nirman rajay sarkar dwara prayatan ko badhawa dene ke liye kiya gaya hai. Yah bharat ka dusara purawotar chetra ka pahla kanch pool hai. Yah pool kanch aur steel se  bana hai . yah glass bridge vaibhav giri aur swarnagiri pahadiyo ki talhati me bana hai. Iska lamba 85 fit aur 6 fit chaura hai. Yah ghati se 250 fit upar banaya gaya hai . yah pul kaanch se bane hone se yah pool pardarshi hai, jiske bare me kul logo ka kahna hai ki isse hawa me chalne jaisa ahasaas hota hai. Is pool se dekhne par prakritik ka najara bhi bahut hi manmohak dikhata hai . isme ek samaye me 40 log ja sakte hai.

Rajgir me ghumne gaye aur glass bridge na ghume to aapki yatra adhuri mani jati hai. Iska udhghatan27 march 2021 me hua tha.

Which glass is used in the Rajgir glass bridge?

Rajgir ka bridge glass 15mm ke 3 glass ka istemal karke banaya gaya hai. 85 fit lamba aur 6 fit chaura is pool par ek baar me 40 log hi ek saath ja sakte hai lekin suraksha ke karno se  antim chor tak 15-20 log hi ja sakte hai.

Aapko bata de ki is pool par jane ke ticket ka price hai 50 rupya lekin is pool ghumne ke liye 150 rupya chukane honge. Yah bridge tuesday se sunday ko 9 se 5 baje tak khula rahta hai. Monday  ko yah  band rahta hai.

Agar aap bhi yaha jane ke liye soch rahe hai to aapko bata de ki rajgir me ghumne liye november se march month sabse accha hai jaha aap is sundar asathan ka aanand utha sakte hai.

  • Glass bridge –
  • Length – 85 fit
  •  Width – 6 fit

Internal Link – bihartour

BASANT KUMAR
BASANT KUMARhttps://bihartour.com
i am indian Blogar I am proved Full SEO services website sell and guest post servece DA increase DR increase Traffic increase Google News approved Google addsen approved All type servic provide

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

spot_img

Related articles

What is the history of Tutla Bhawani?

Tutla Bhawani waterfall You people often get information about places to visit in our blog. So Today we will...

Caste investment in Bihar and how to download it

Complete information about bar caste investment income and land survey The RTPS (Right to Public Services) Act is one...

Which district is Nagi Nakti bird sanctuary in?

Nagi Nakti bird sanctuary Nagi bird sanctuary- If you are a bird lover and want to see the colours...

When was Nalanda University established?

NALANDA UNIVERSITY There are many old universities in the world but one of them is Nalanda University. Nalanda University...